ये शब-ए-फ़िराक़ ये बेबसी हैं कदम कदम पे उदासियाँ
ये शब-ए-फ़िराक़ ये बेबसी हैं कदम कदम पे उदासियाँ
मेरा साथ कोई न दे सका मेरी हसरतें हैं धुवाँ धुवाँ
मैं तड़प तड़प के जिया तो क्या मेरे ख़ाब मुजह्से बिछड़ गये
मैं उदास घर की सदा सही मुझे दे न कोई तसल्लियाँ
चलीं ऐसी दर्द की आँधियाँ मेरे दिल की बस्ती उजड़ गई
ये जो राख सी है बुझी बुझी हैं इसी में मेरी निशानियाँ
ये फ़िज़ा जो गर्द-ओ-गुबार है मेरी बेकसी का मज़ार है
मैं वो फूल हूँ जो न खिल सका मेरी ज़िंदगी में वफ़ा कहाँ
'हसन्' ऐसी जग में हवा चले जो उड़ा के मुझको भी ले चले
मैं वहीं पे उम्र गुज़ार दूँ जहाँ मेरे यार का आस्ताँ
ye śhab-e-firāq ye bebsī haiṅ kadam kadam pe udāsiyāṇ
merā sāth koī na de sakā merī hasarteṅ haiṅ dhuvāṇ dhuvāṇ
maiṅ taṛap taṛap ke jiyā to kyā mere khāb mujahse bichhaṛ gaye
maiṅ udās ghar kī sadā sahī mujhe de na koī tasalliyāṇ
chalīṅ aisī dard kī āṇdhiyāṇ mere dil kī bastī ujaṛ gaī
ye jo rākh sī hai bujhī bujhī haiṅ isī meṅ merī niśhāniyāṇ
ye fizā jo gard-o-gubār hai merī beksī kā mazār hai
maiṅ vo phūl hūṇ jo na khil sakā merī ziṅdgī meṅ vafā kahāṇ
'hasan' aisī jag meṅ havā chale jo uṛā ke mujhko bhī le chale
maiṅ vahīṅ pe umr guzār dūṇ jahāṇ mere yār kā āstāṇ