Ye meraa shahar-e-vafaa aur main akelaa aadmee

ये मेरा शहर-ए-वफ़ा और मैं अकेला आदमी
Year
Language

ये मेरा शहर-ए-वफ़ा और मैं अकेला आदमी
मेरे लाखों आशना और मैं अकेला आदमी

एक ही सर है झुका सकता हूँ किस किस के लिये
अनगिनत मेरे ख़ुदा और मैं अकेला आदमी

घूमता फिरता हूँ शायद मुझसा कोई आ मिले
ग़म के मेले जा-ब-जा और मैं अकेला आदमी

मेरा साया मर न जाये रात के इस दश्त में
कितना लम्बा रास्ता और मैं अकेला आदमी

मिलके हव्वा से किया आबाद इसे मैंने 'क़तील्'
ये जहाँ मेरी अता और मैं अकेला आदमी

ye merā śhahar-e-vafā aur maiṅ akelā ādmī
mere lākhoṅ āśhnā aur maiṅ akelā ādmī

ek hī sar hai jhukā saktā hūṇ kis kis ke liye
anginat mere khudā aur maiṅ akelā ādmī

ghūmtā phirtā hūṇ śhāyad mujhsā koī ā mile
ġham ke mele jā-ba-jā aur maiṅ akelā ādmī

merā sāyā mar na jāye rāt ke is daśht meṅ
kitnā lambā rāstā aur maiṅ akelā ādmī

milke havvā se kiyā ābād ise maiṅne 'qatīl'
ye jahāṇ merī atā aur maiṅ akelā ādmī