Ye kis kaa tasavvur hai, ye kis kaa fasaanaa hai

ये किस का तसव्वुर है, ये किस का फ़साना है
Year
Language

ये किस का तसव्वुर है, ये किस का फ़साना है
जो अश्क़ हैं आँखों में, तसबीह का दाना है

आँखों में नमी सी है, चुप-चुप से वोह बैठे हैं
नाज़ुक सी निगाहों में नाज़ुक सा फ़साना है

ये इश्क़ नहीं आसाँ, इतना तो समझ लीजे
इक आग का दरिया है, और डूब के जाना है

या वो थे ख़फ़ा हम से, या हम हैं ख़फ़ा उन से
कल उन का ज़माना था, आज अपना ज़माना है

ye kis kā tasavvur hai, ye kis kā fasānā hai
jo aśhq haiṅ āṇkhoṅ meṅ, tasbīh kā dānā hai

āṇkhoṅ meṅ namī sī hai, chup-chup se voh baiṭhe haiṅ
nāzuk sī nigāhoṅ meṅ nāzuk sā fasānā hai

ye iśhq nahīṅ āsāṇ, itnā to samajh līje
ik āg kā dariyā hai, aur ḍūb ke jānā hai

yā vo the khafā ham se, yā ham haiṅ khafā un se
kal un kā zamānā thā, āj apnā zamānā hai