Ye jo hai huqm mere paas na aaye koee

ये जो है हुक़्म मेरे पास न आये कोई
Year
Language

ये जो है हुक़्म मेरे पास न आये कोई
इसलिये रूठ रहे हैं के मनाये कोई

ताक में है निगह-ए-शौक़ ख़ुदा ख़ैर करे
सामने से मेरे बचता हुआ जाये कोई

हाल अफ़लाक-ओ-ज़बीं का जो बताया भी तो क्‌या
बात वो है जो तेरे दिल की बताये कोई

आपने 'दाग्' को मुँह भी न लगाया अफ़सोस
उसको रखता था कलेजे से लगाये कोई

हो चुका ऐश का जलसा तो मुझे ख़त भेजा
आप की तरह से मेहमान बुलाये कोई

ye jo hai huqm mere pās na āye koī
isliye rūṭh rahe haiṅ ke manāye koī

tāk meṅ hai nigah-e-śhauq khudā khair kare
sāmne se mere bachtā huā jāye koī

hāl aflāk-o-zabīṅ kā jo batāyā bhī to k‌yā
bāt vo hai jo tere dil kī batāye koī

āpne 'dāg' ko muṇh bhī na lagāyā afsos
usko rakhtā thā kaleje se lagāye koī

ho chukā aiśh kā jalsā to mujhe khat bhejā
āp kī tarah se mehmān bulāye koī