Ye duniyaa, ye mahphil, mere kaam kee naheen

ये दुनिया, ये महफिल, मेरे काम की नहीं
Year
Language

ये दुनिया, ये महफ़िल, मेरे काम की नहीं

किस को सुनाऊँ हाल दिल-ए-बेकरार का
बुझता हुआ चराग़ हूँ अपने मज़ार का
ऐ काश भूल जाऊँ, मगर भूलता नही
किस धूम से उठा था जनाज़ा बहार का

अपना पता मिले ना ख़बर यार की मिले
दुश्मन को भी ना ऐसी सज़ा प्यार की मिले
उनको खुदा मिले है खुदा की जिन्हे तलाश
मुझको बस एक झलक मेरे दिलदार की मिले

सहरा में आके भी मुझ को ठिकाना ना मिला
गम को भूलाने का कोई बहाना ना मिला
दिल तरसे जिस में प्यार को, क्या समझू उस संसार को
एक जीती बाजी हार के, मैं ढूँढू बिछड़े यार को

दूर निगाहों से आँसू बहाता है कोई
कैसे ना जाऊँ मैं, मुझको बुलाता है कोई
या टूटे दिल को जोड़ दो, या सारे बंधन तोड़ दो
ऐ परबत रस्ता दे मुझे, ऐ काँटों दामन छोड़ दो

ye duniyā, ye mahafil, mere kām kī nahīṅ

kis ko sunāūṇ hāl dil-e-bekrār kā
bujhtā huā charāġh hūṇ apne mazār kā
ai kāśh bhūl jāūṇ, magar bhūltā nahī
kis dhūm se uṭhā thā janāzā bahār kā

apnā patā mile nā khabar yār kī mile
duśhman ko bhī nā aisī sazā pyār kī mile
unko khudā mile hai khudā kī jinhe talāśh
mujhko bas ek jhalak mere dildār kī mile

sahrā meṅ āke bhī mujh ko ṭhikānā nā milā
gam ko bhūlāne kā koī bahānā nā milā
dil tarse jis meṅ pyār ko, kyā samjhū us saṅsār ko
ek jītī bājī hār ke, maiṅ ḍhūṇḍhū bichhaṛe yār ko

dūr nigāhoṅ se āṇsū bahātā hai koī
kaise nā jāūṇ maiṅ, mujhko bulātā hai koī
yā ṭūṭe dil ko joṛ do, yā sāre baṅdhan toṛ do
ai parbat rastā de mujhe, ai kāṇṭoṅ dāman chhoṛ do