ये अफ़साना नहीं ज़ालिम मेरे दिल की हक़ीक़त है
ये अफ़साना नहीं ज़ालिम मेरे दिल की हक़ीक़त है
मुझे तुम से मोहब्बत है मुझे तुम से मोहब्बत है
ये अफ़साना…
लगी है आग सीने में नहीं कुछ लुत्फ़ जीने में
नज़र कुछ कह नहीं सकती कहे बिन रह नहीं सकती
तुम्हें कयोंकर मैं समझाऊँ
मुझे तुम से मोहब्बत है
ये अफ़साना…
मचल्ती हैं तमन्नाएं कहीं रुसुवा न हो जाएं
मुसीबत उल्झनें दिल की क़यामत ढड़कनें दिल की
तुम्हें कयोंकर मैं समझाऊँ
मुझे तुम से मोहब्बत है
ये अफ़साना…
न जीती हूँ न मरती हूँ ख़लिश मेहसूस करती हूँ
कहीं ऐसा न हो जाए कली खिलते ही मुर्झाए
तुम्हें कयोंकर मैं समझाऊँ
मुझे तुम से मोहब्बत है
ये अफ़साना…
ye afsānā nahīṅ zālim mere dil kī haqīqat hai
mujhe tum se mohabbat hai mujhe tum se mohabbat hai
ye afsānā…
lagī hai āg sīne meṅ nahīṅ kuchh lutf jīne meṅ
nazar kuchh kah nahīṅ saktī kahe bin rah nahīṅ saktī
tumheṅ kayoṅkar maiṅ samjhāūṇ
mujhe tum se mohabbat hai
ye afsānā…
machaltī haiṅ tamannāeṅ kahīṅ rusuvā na ho jāeṅ
musībat uljhneṅ dil kī qayāmat ḍhaṛakneṅ dil kī
tumheṅ kayoṅkar maiṅ samjhāūṇ
mujhe tum se mohabbat hai
ye afsānā…
na jītī hūṇ na martī hūṇ khaliśh mehsūs kartī hūṇ
kahīṅ aisā na ho jāe kalī khilte hī murjhāe
tumheṅ kayoṅkar maiṅ samjhāūṇ
mujhe tum se mohabbat hai
ye afsānā…