Ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye

ये आलम शौक़ का देखा न जाये
Year
Language

ये आलम शौक़ का देखा न जाये
वो बुत है या ख़ुदा देखा न जाये

ये किन नज़रों से तुमने आज देखा
के तेरा देखना देखा न जाये

हमेशा के लिये मुझसे बिछड़ जा
ये मंज़र बारहा देखा न जाये

ग़लत है जो सुना पर आज़मा कर
तुझे ऐ बा-वफ़ा देखा न जाये

ये महरूमी नहीं पास-ए-वफ़ा है
कोई तेरे सिवा देखा न जाये

'फ़राज़्' अपने सिवा है कौन तेरा
तुझे तुझसे जुदा देखा न जाये

ye ālam śhauq kā dekhā na jāye
vo but hai yā khudā dekhā na jāye

ye kin nazroṅ se tumne āj dekhā
ke terā dekhnā dekhā na jāye

hameśhā ke liye mujhse bichhaṛ jā
ye maṅzar bārhā dekhā na jāye

ġhalat hai jo sunā par āzmā kar
tujhe ai bā-vafā dekhā na jāye

ye mahrūmī nahīṅ pās-e-vafā hai
koī tere sivā dekhā na jāye

'farāz' apne sivā hai kaun terā
tujhe tujhse judā dekhā na jāye