( gar tum bhulā na doge
sapne ye sach hī hoṅge
ham-tum judā na hoṅge
ham-tum judā na hoṅge ) -2
mālik ne apne hāthoṅ
jis dam hameṅ banāyā
ḍālī diloṅ meṅ dhaṛkan
aur dil se dil milāyā
phir pyār kā fariśhtā
duniyā meṅ le ke āyā
gar tum bhulā na doge
sapne ye sach hī hoṅge
ham-tum judā na hoṅge
ham-tum judā na hoṅge
jīvan ke har safar meṅ
ham sāth hī raheṅge
duniyā kī har ḍagar par
ham sāth hī chaleṅge
ham sāth hī jiyeṅge
ham sāth hī mareṅge
( gar tum bhulā na doge
sapne ye sach hī hoṅge
ham-tum judā na hoṅge
ham-tum judā na hoṅge ) -2