Yahee vafaa kaa silaa hai to koee baat naheen

यही वफ़ा का सिला है तो कोई बात नहीं
Year
Language

यही वफ़ा का सिला है तो कोई बात नहीं
ये दर्द तूने दिया है तो कोई बात नहीं

किसे मजाल कहे कोई मुझको दीवाना
अगर ये तुमने कहा है तो कोई बात नहीं

यही बहुत है कि तुम देखते हो साहिल से
सफ़ीना डूब रहा है तो कोई बात नहीं

जो आने वाला है कल उसको किसने देखा है
वो हमसे आज जुदा है तो कोई बात नहीं

yahī vafā kā silā hai to koī bāt nahīṅ
ye dard tūne diyā hai to koī bāt nahīṅ

kise majāl kahe koī mujhko dīvānā
agar ye tumne kahā hai to koī bāt nahīṅ

yahī bahut hai ki tum dekhte ho sāhil se
safīnā ḍūb rahā hai to koī bāt nahīṅ

jo āne vālā hai kal usko kisne dekhā hai
vo hamse āj judā hai to koī bāt nahīṅ