Yaar ko ragabat-e-aghyaar na hone paaye

यार को रगबत-ए-अग़्यार न होने पाये
Year
Language

यार को रगबत-ए-अग़्यार न होने पाये
गुल-ए-तर को हवस-ए-ख़ार न होने पाये

बाग़ की सैर को जाते तो हो पर याद रहे
सब्ज़ा बेगाना है दो-चार न होने पाये

जमा कर लीजिये ग़मज़ों को मगर ख़ूबी-ए-बज़्म
बस वहीं तक है कि बाज़ार न होने पाये

आप जाते तो हैं इस बज़्म में लेकिन 'शिब्ली'
हाल-ए-दिल देखिये इज़हार न होने पाये

yār ko ragabat-e-aġhyār na hone pāye
gul-e-tar ko havas-e-khār na hone pāye

bāġh kī sair ko jāte to ho par yād rahe
sabzā begānā hai do-chār na hone pāye

jamā kar lījiye ġhamazoṅ ko magar khūbī-e-bazam
bas vahīṅ tak hai ki bāzār na hone pāye

āp jāte to haiṅ is bazam meṅ lekin 'śhiblī'
hāl-e-dil dekhiye izhār na hone pāye