hāy hāy hāy hāy
ki ṭūṭ gaī
dekhī hamne bīch bajriyā jugnī jaise koī gujriyā
apne man kī bāt sunāe jugnī nāche jugnī gāe
suno dāstāṅ ye merī suno merī ye kahānī
koī merā thā dīvānā maiṅ bhī jiskī thī dīvānī
hāy kaise the irāde jīne marne ke the vāde
toṛī thīṅ duniyā kī rasmeṅ khāī thīṅ ulfat kī kasmeṅ
maine khāī kasam thī sachchī par uskī kasam thī kachchī
ki ṭūṭ gaī taṛak karke ki ṭūṭ gaī oe
jab vo milne ko ātā thā hāṅ mere kaise guṇ gātā thā hāṇ
mujhko hūr parī kahtā thā hāṇ mujhko dekhtā hī rahtā thā hāṇ
kahtā thā jo bhī ho jāe ham nā hoṅge kabhī parāe
chāhe sārī duniyā roke par ye milan rahegā hoke
tere pyār meṅ vo jādū hai ke ab dil meṅ tū hī tū hai
ḍākā ḍālā nā koī chorī maine pyār kiyā hai gorī
chhoṛūṅgā nā baiyāṅ torī par aisī thī pyār kī ḍorī
ki ṭūṭ gaī …
jab thī maiṅ uskī manchāhī hāṇ maiṅ maṅzil thī vo thā rāhī hāṇ
maiṅ dhaṛkan thī vo merā dil hāṇ maiṅ thī lahar vo merā sāhil hāṇ
kaise din the kaisī rāteṅ kaisī pyārī thīṅ vo bāteṅ
kaisī mauj meṅ ham rahte the kaise khoe se rahte the
kaise rūṭhte aur mante the kaise jhūṭh mūṭh bante the
āṇkhoṅ meṅ haiṅ vo tasvīreṅ dil par chaltī haiṅ śhamśhīreṅ
yād ātī hai vo dildārī par jhūṭhī thī uskī yārī
ki ṭūṭ gaī …