Vohee palkon kaa jhapaknaa vohee jaadoo tere

वोही पलकों का झपकना वोही जादू तेरे
Year
Language

वोही पलकों का झपकना वोही जादू तेरे
सारे अंदाज़ चुरा लाई है ख़ुश्बू तेरे

तुझसे मैं जिस्म चुराता था मगर इल्म न था
मेरे साये से लिपट जायेंगे बाज़ू तेरे

तेरी आँखों में पिघलती रही सूरत मेरी
मेरी तस्वीर पे गिरते रहे आँसू तेरे

और कुछ देर अगर तेज़ हवा चलती रही
मेरी बाँहों में बिखर जायेंगे गेसू तेरे

vohī palkoṅ kā jhapaknā vohī jādū tere
sāre aṅdāz churā lāī hai khuśhbū tere

tujhse maiṅ jism churātā thā magar ilm na thā
mere sāye se lipaṭ jāyeṅge bāzū tere

terī āṇkhoṅ meṅ pighaltī rahī sūrat merī
merī tasvīr pe girte rahe āṇsū tere

aur kuchh der agar tez havā chaltī rahī
merī bāṇhoṅ meṅ bikhar jāyeṅge gesū tere