Vo saath hamaaraa de na sake

वो साथ हमारा दे न सके
Year
Language

वो साथ हमारा दे न सके हम नाम पे उनके जीते हैं
दो दिन को ख़ुशी को पाये थे क्‌या कहिये कैसे बीते हैं
वो साथ हमारा …

तन्हाई बहारों से मिलकर जब उनकी याद दिलाती है
उम्मीद के कच्चे धागे से ज़ख़मों को अपने सीते हैं
वो साथ हमारा …

जा और कहीं अब ऐ सावन क्‌यों ठण्डी आग लगाता है
हम लाएँ कहाँ से अब आँसू आँखों के सरोवर रीते हैं
वो साथ हमारा …

वो जितने हम से दूर हुए इस दिल की तड़प उतनी ही बढ़ी
ले जाम उठा अब ऐ साक़ी हम खून-ए-तमन्ना पीते हैं
वो साथ हमारा …

vo sāth hamārā de na sake ham nām pe unke jīte haiṅ
do din ko khuśhī ko pāye the k‌yā kahiye kaise bīte haiṅ
vo sāth hamārā …

tanhāī bahāroṅ se milkar jab unkī yād dilātī hai
ummīd ke kachche dhāge se zakhmoṅ ko apne sīte haiṅ
vo sāth hamārā …

jā aur kahīṅ ab ai sāvan k‌yoṅ ṭhaṇḍī āg lagātā hai
ham lāeṇ kahāṇ se ab āṇsū āṇkhoṅ ke sarovar rīte haiṅ
vo sāth hamārā …

vo jitne ham se dūr hue is dil kī taṛap utnī hī baṛhī
le jām uṭhā ab ai sāqī ham khūn-e-tamannā pīte haiṅ
vo sāth hamārā …