Vo paree kahaan se laaoon, teree dulhan jise banaaoon

वो परी कहाँ से लाऊँ, तेरी दुल्हन जिसे बनाऊँ
Work
Year
Language

वो परी कहाँ से लाऊँ तेरी दुल्हन जिसे बनाऊँ
कि गोरी कोई पसन्द न आये तुझको
कि छोरी कोई पसन्द न आये तुझको

ये तो मेरी है सहेली, दिलवाली अलबेली
जैसे मोतिया चमेली, जैसे प्यार की हवेली
सोलह साल की उमर, कोका-कोला सी कमर
रत्ती भर भी क़सर कहीं आये न नज़र
कुछ हुआ है असर?
गोल जूड़े में ये वेनी, और वेनी में ये टहनी
कैसे जूड़ियों से पेड़ उगाये
ये गंगाराम के समझ में न आये
वो परी कहाँ से लाऊँ …

आँख जिसकी है बिल्ली नाम उसका है लिल्ली
ऐसे कजरे की धार, जैसे तीखी तलवार
देख होंठों का ये रंग चलने का ढंग
कटे अंग्रेज़ी बाल, बाँधा रेशम का रुमाल
बोलो क्‌या है खयाल?
इसे जब लिया तक़ मेरा दिल हुआ फ़क़
छोरी हो के हजामत कराये
ये गंगाराम के समझ में न आये
वो परी कहाँ से लाऊँ …

vo parī kahāṇ se lāūṇ terī dulhan jise banāūṇ
ki gorī koī pasand na āye tujhko
ki chhorī koī pasand na āye tujhko

ye to merī hai sahelī, dilvālī albelī
jaise motiyā chamelī, jaise pyār kī havelī
solah sāl kī umar, kokā-kolā sī kamar
rattī bhar bhī qasar kahīṅ āye na nazar
kuchh huā hai asar?
gol jūṛe meṅ ye venī, aur venī meṅ ye ṭahnī
kaise jūṛiyoṅ se peṛ ugāye
ye gaṅgārām ke samajh meṅ na āye
vo parī kahāṇ se lāūṇ …

āṇkh jiskī hai billī nām uskā hai lillī
aise kajre kī dhār, jaise tīkhī talvār
dekh hoṅṭhoṅ kā ye raṅg chalne kā ḍhaṅg
kaṭe aṅgrezī bāl, bāṇdhā reśham kā rumāl
bolo k‌yā hai khayāl?
ise jab liyā taq merā dil huā faq
chhorī ho ke hajāmat karāye
ye gaṅgārām ke samajh meṅ na āye
vo parī kahāṇ se lāūṇ …