वो तो ख़ुश्बू है हवाओं में बिखर जायेगा
वो तो ख़ुश्बू है हवाओं में बिखर जायेगा
मसअला फूल का है फूल किधर जायेगा
हम तो समझे थे के एक ज़ख़्म है भर जायेगा
क्या ख़बर थी के रग़-ए-जाँ में उतर जायेगा
वो हवाओं की तरह ख़ाना-ब-जाँ फिरता है
एक झोँका है जो आयेगा गुज़र जायेगा
वो जब आयेगा तो फिर उसकी रिफ़ाक़त के लिये
मौसम-ए-गुल मेरे आँगन में ठहर जायेगा
आख़िरश वो भी कहीं रेत पर बैठी होगी
तेरा ये प्यार भी दरिया है उतर जायेगा
vo to khuśhbū hai havāoṅ meṅ bikhar jāyegā
masaalā phūl kā hai phūl kidhar jāyegā
ham to samjhe the ke ek zakhm hai bhar jāyegā
kyā khabar thī ke raġh-e-jāṇ meṅ utar jāyegā
vo havāoṅ kī tarah khānā-ba-jāṇ phirtā hai
ek jhoṇkā hai jo āyegā guzar jāyegā
vo jab āyegā to phir uskī rifāqat ke liye
mausam-e-gul mere āṇgan meṅ ṭhahar jāyegā
ākhiraśh vo bhī kahīṅ ret par baiṭhī hogī
terā ye pyār bhī dariyā hai utar jāyegā