Vo jo ham men tum men qaraar thaa

वो जो हम में तुम में क़रार था
Year
Language

वो जो हम में तुम में क़रार था तुम्हें याद हो के न याद हो
वही वादा यानि निबाह का, तुम्हें याद हो के न याद हो

वो नये गिले वोह शिक़ायतें, वो मज़े मज़े की हिक़ायतें
वो हर एक बात पे रूठन तुम्हें याद हो के न याद हो

कभी हुम में तुम में भी चाह थी, कभी हुम में तुम में भि राह थी
कभी हुम भी तुम भी थे आशना, तुम्हें याद हो के न याद हो

वो जो लुत्फ़ मुझ से थे पेशतर, वो क़रम की था मेरे हाल पर
मुझे सब है याद ज़र्रा-ज़र्रा, तुम्हें याद हो के न याद हो

कोई बात ऐसी अगर हुई, जो तुम्हारी जी को बुरी लगी
तो बयाँ से पहले ही बोलना, तुम्हें याद हो के न याद हो

जिसे आप गिनते थे आशना, जिसे आप कहते थे बाफ़ा
मैं वही हूँ मोमिन-ए-मुब्तला, तुम्हें याद हो के न याद हो

vo jo ham meṅ tum meṅ qarār thā tumheṅ yād ho ke na yād ho
vahī vādā yāni nibāh kā, tumheṅ yād ho ke na yād ho

vo naye gile voh śhiqāyteṅ, vo maze maze kī hiqāyteṅ
vo har ek bāt pe rūṭhan tumheṅ yād ho ke na yād ho

kabhī hum meṅ tum meṅ bhī chāh thī, kabhī hum meṅ tum meṅ bhi rāh thī
kabhī hum bhī tum bhī the āśhnā, tumheṅ yād ho ke na yād ho

vo jo lutf mujh se the peśhtar, vo qaram kī thā mere hāl par
mujhe sab hai yād zarrā-zarrā, tumheṅ yād ho ke na yād ho

koī bāt aisī agar huī, jo tumhārī jī ko burī lagī
to bayāṇ se pahle hī bolnā, tumheṅ yād ho ke na yād ho

jise āp ginte the āśhnā, jise āp kahte the bāfā
maiṅ vahī hūṇ momin-e-mubtlā, tumheṅ yād ho ke na yād ho