Vo dil-navaaz hain lekin nazar shanaas naheen

वो दिल-नवाज़ हैं लेकिन नज़र शनास नहीं
Year
Language

वो दिल-नवाज़ हैं लेकिन नज़र शनास नहीं
मेरा इलाज मेरे चारागर के पास नहीं

कभी कभी जो तेरे कुर्ब में गुज़ारे थे
अब उन दिनों का तसव्वुर भी मेरे पास नहीं

गुज़र रहे हैं अजब मरहलों से दीदा-ओ-दिल
सहर की आस तो है ज़िंदगी की आस नहीं

मुझे ये डर है तेरी आरज़ू न मिट जाये
बहुत दिनों से तबीयत मेरी उदास नहीं

तेरे दिलों में भी दिल काँप काँप उठता है
मेरे मजाज को आसूदगी भी रास नहीं

तड़प रहे हैं ज़बाँ पर कई सवाल मगर
मेरे लिये कोई शायान-ए-इल्तमास नहीं

vo dil-navāz haiṅ lekin nazar śhanās nahīṅ
merā ilāj mere chārāgar ke pās nahīṅ

kabhī kabhī jo tere kurb meṅ guzāre the
ab un dinoṅ kā tasavvur bhī mere pās nahīṅ

guzar rahe haiṅ ajab marahloṅ se dīdā-o-dil
sahar kī ās to hai ziṅdgī kī ās nahīṅ

mujhe ye ḍar hai terī ārazū na miṭ jāye
bahut dinoṅ se tabīyat merī udās nahīṅ

tere diloṅ meṅ bhī dil kāṇp kāṇp uṭhtā hai
mere majāj ko āsūdgī bhī rās nahīṅ

taṛap rahe haiṅ zabāṇ par kaī savāl magar
mere liye koī śhāyān-e-iltmās nahīṅ