Vo bhee anjaan thee ... yaaron maine pangaa le liyaa

वो भी अन्जान थी ... यारों मैने पंगा ले लिया
Year
Language

वो भी अन्जान थी मैं भी अंजान था
उससे वादा न था कुछ इरादा न था
बस यूं ही darling कह दिया
ओ यारों मैने पंगा ले लिया

वो भी कुछ वादा यूं ही darling
पहले तो उसने चोटी को झटका दिया
अपनी गर्दन को थोड़ा सा मटका दिया
मैं ये समझा मेरे जाल में फंस गई
देख डाले एक पल में सपने कई
फिर अचानक ही एक हादसा हो गया
जिसके सपनों में मैं थाअ खोया हुआ
उसने देखा इधर और न देखा उधर
और उसी darling ने मेरे गाल पर भरपूर थप्पड़ दिया
यारों मैने पंगा …

confusion
पी रहा था मैं एक दिन beer bar में
लोग खोये थे music की झनकार में
एक लड़का शराब इस कदर पी गया
अपने साथी से तकरार करने लगा
मैने समझाया उसे बड़े प्यार से
अरे फ़ायदा क्‌या है आपस की तकरार से
वो नशे में गले मेरे पड़ने लगा
छोड़ कर वो उसे मुझसे लड़ने लगा
लाल पीला मुझे कर दिया
हाय यारों मैने पंगा …

दूर के एक रिश्ते की बारात में
मेरा जाना हुआ दूल्हे के साथ में
मैने उससे कहा बात ही बात में
शादी वादी मत कर ऐसे हालात में
कुछ ज़रा सोच तो कितनी महंगाई है
वक़्त है भाग जा आगे रुसवाई है
सबको चौंका दिया इतनी सी बात में
खूब पीटा मुझे सारी बारात ने
भागने का न मौक़ा दिया
हाय यारों मैने पंगा …

एक नुमाइश का चर्चा बहुत आम था
शहर की हर गली में बड़ा नाम था
उसमें कुश्ती का एक program था
हर विजेता को दो लाख इनाम था
नोट की चाह में एक पहलवान था
मैने कुश्ती लड़ी इतनी घमासान से
दम उखड़ने लगा पसलियां बोल उठीं
वो मुंह मेरा तोड़ के रख दिया
उफ़ यारों मैने पंगा …

vo bhī anjān thī maiṅ bhī aṅjān thā
usse vādā na thā kuchh irādā na thā
bas yūṅ hī darling kah diyā
o yāroṅ maine paṅgā le liyā

vo bhī kuchh vādā yūṅ hī darling
pahle to usne choṭī ko jhaṭkā diyā
apnī gardan ko thoṛā sā maṭkā diyā
maiṅ ye samjhā mere jāl meṅ phaṅs gaī
dekh ḍāle ek pal meṅ sapne kaī
phir achānak hī ek hādsā ho gayā
jiske sapnoṅ meṅ maiṅ thāa khoyā huā
usne dekhā idhar aur na dekhā udhar
aur usī darling ne mere gāl par bharpūr thappaṛ diyā
yāroṅ maine paṅgā …

confusion
pī rahā thā maiṅ ek din beer bar meṅ
log khoye the music kī jhankār meṅ
ek laṛkā śharāb is kadar pī gayā
apne sāthī se takrār karne lagā
maine samjhāyā use baṛe pyār se
are fāydā k‌yā hai āpas kī takrār se
vo naśhe meṅ gale mere paṛne lagā
chhoṛ kar vo use mujhse laṛne lagā
lāl pīlā mujhe kar diyā
hāy yāroṅ maine paṅgā …

dūr ke ek riśhte kī bārāt meṅ
merā jānā huā dūlhe ke sāth meṅ
maine usse kahā bāt hī bāt meṅ
śhādī vādī mat kar aise hālāt meṅ
kuchh zarā soch to kitnī mahaṅgāī hai
vaqt hai bhāg jā āge rusvāī hai
sabko chauṅkā diyā itnī sī bāt meṅ
khūb pīṭā mujhe sārī bārāt ne
bhāgne kā na mauqā diyā
hāy yāroṅ maine paṅgā …

ek numāiśh kā charchā bahut ām thā
śhahar kī har galī meṅ baṛā nām thā
usmeṅ kuśhtī kā ek program thā
har vijetā ko do lākh inām thā
noṭ kī chāh meṅ ek pahalvān thā
maine kuśhtī laṛī itnī ghamāsān se
dam ukhaṛne lagā pasliyāṅ bol uṭhīṅ
vo muṅh merā toṛ ke rakh diyā
uf yāroṅ maine paṅgā …