वो बन संवर के चले हैं घर से
वो बन संवर के चले हैं घर से
हैं खोए खोए से बेख़बर से
दुपट्टा ढलका हुआ है सर से
ख़ुदा बचाए बुरी नज़र से
वो बन संवर के …
कभी जवानी की बेखुदी में
जो घर से बाहर कदम निकालो
सुनहरे गालों पे मेरी मानो
तुम एक काला सा तिल सजा लो
बदन का सोना चुरा ले सारा
कोई नज़र उठ के कब किधर से
ख़ुदा बचाए …
ये नर्म-ओ-नाज़ुक हसीन से लब
के जैसे दो फूल हों कंवल के
ये गोरे मुखड़े पे लाल रंगत
के जैसे होली का रंग छलके
संभालो इन लम्बी चोटियों को
लिपट न जाएँ कहीं कमर से
ख़ुदा बचाए …
ये शहर पत्थरों का शहर ठहरा
कहाँ मिलेगी यहाँ मोहब्बत
ये शीशे जैसा बदन तुम्हारा
मेरी दुआ है रहे सलामत
तुम्हारे सपनों की नन्हीं कलियाँ
बची रहें धूप के असर से
ख़ुदा बचाए …
vo ban saṅvar ke chale haiṅ ghar se
haiṅ khoe khoe se bekhbar se
dupaṭṭā ḍhalkā huā hai sar se
khudā bachāe burī nazar se
vo ban saṅvar ke …
kabhī javānī kī bekhudī meṅ
jo ghar se bāhar kadam nikālo
sunahre gāloṅ pe merī māno
tum ek kālā sā til sajā lo
badan kā sonā churā le sārā
koī nazar uṭh ke kab kidhar se
khudā bachāe …
ye narm-o-nāzuk hasīn se lab
ke jaise do phūl hoṅ kaṅval ke
ye gore mukhaṛe pe lāl raṅgat
ke jaise holī kā raṅg chhalke
saṅbhālo in lambī choṭiyoṅ ko
lipaṭ na jāeṇ kahīṅ kamar se
khudā bachāe …
ye śhahar patthroṅ kā śhahar ṭhahrā
kahāṇ milegī yahāṇ mohabbat
ye śhīśhe jaisā badan tumhārā
merī duā hai rahe salāmat
tumhāre sapnoṅ kī nanhīṅ kaliyāṇ
bachī raheṅ dhūp ke asar se
khudā bachāe …