kal nahīṅ thā vo kyā hai āj ye
kah gaīṅ ye havāyeṅ kyā mujhe
kahīṅ ye khāb to nahīṅ kahīṅ ye pyār to nahīṅ
hardam ās ho gaī kyūṇ man meṅ
kal nahīṅ thā vo kyā hai āj ye
kah gaīṅ ye havāyeṅ kyā mujhe
ye kyā hāl ho gayā mujh ko ye kyā ho gayā
hardam ās ho gaī kyūṇ man meṅ
hai khudā bhī kahāṇ māṇ kī mamtā binā
svapn āte nahīṅ pyār jāge binā
hai kahāṇ ye mohabbat chāhtoṅ ke binā
dhaṛaknoṅ kī zubāṅ dhaṛaknoṅ ne sunī
uṭh rahā hai dhuāṇ āg to hai vahīṅ
pyār miltā jahāṇ par ziṅdgī hai vahīṇ
āsmāṇ hai jahāṇ haiṅ sitāre vahāṇ
chāṇdnī hai jahāṇ chaṅdrmā hai vahāṇ
maṅzileṅ haiṅ vahī pe pyār hotā jahāṇ
pyār kī rāh meṅ āp jo mil gae
rāh meṅ hazāroṅ dīp kyūṇ jal gaye
āj kyūṇ mere man meṅ phūl khil gaye
kal nahīṅ thā vo kyā hai āj ye
kah gaīṅ ye havāyeṅ kyā mujhe
gahrī nīṅd so gaī vīrānoṅ meṅ kho gaī
kaise merī ziṅdgī gujregī
chār hī din kī thī ye rahguzar
ho gayā āj pūrā ye safar
tere pyār kī qasam merī yād meṅ sanam
ab ye terī ziṅdgī guzregī
khatm hotī nahīṅ pyār kī dāstāṇ
khil rahī hai sadā pyār se hī fizā
vaqt se bhī purānā hai ye silsilā
barasne talak hai bādloṅ kā safar
ziṅdgī talak hai ziṅdgī kā safar
pyār kā ye safar to hai sadā amar
kyā patā thā mujhe kyā hai merī maṅzil
kyā patā thā tujhe ṭūṭ jāyegā dil
jā rahe the kahāṇ ham ā gaye kidhar
mil ke hai bichaṛnā ye havā kah gaī
ġham kā ye hādsā kis tarah sah gaī
ziṅdgī to gujar gaī yād rah gaī
%(the life has passed avay, just memories have remained)