jān tum ho merī dūriyāṇ kyūṇ ham se
ab to ā ke mil jā pyās man meṅ kab se
ye suhānī śhām hai pyār kar le ham se
chūm lo āo mujhe hai guzāriśh tum se
jān tum ho merī pyār ho gayā tum se
maiṅ bhī to hūṇ pyāsā tum ko dekhā jab se
ye javānī kā naśhā chhā rahā hai kab se
ho nā jāye jośh meṅ bhūl koī ham se
āj tum lagtī ho suṅdar khilte phūloṅ kī jaisī
jhilmilātī terī āṇkheṅ chaṅdā tāroṅ ke jaisī
sāth mil kar jān-e-jāṇ āo ham nācheṅge
mastiyoṅ meṅ jhūmeṅge āo ham gāyeṅge
ye nazāre aur tum sāth mere hamdam
āj apne pyār kā ho gayā hai saṅgam
tūfānoṅ meṅ bhī ai sāthī tum ko ham nā chhoṛeṅge
muśhkil se hotī hai mohabbat janam-janam nā toṛeṅge
āj merā dil bole phūloṅ pe so jāyeṅ
jān merī kah do tum bāṇhoṅ meṅ kho jāyeṅ
jān terī hai sadā kah rahī hai dhaṛkan
dil meṅ rahte ho sadā tum hī mere hamdam
%(just you are alvays stying in my heart, o lover)