Vaqt-e-peeree shabaab kee baaten

वक़्त-ए-पीरी शबाब की बातें
Year
Language

वक़्त-ए-पीरी शबाब की बातें
ऐसी हैं जैसे ख़्वाब की बातें

फिर मुझे ले चला उधर देखो
दिल-ए-ख़ाना-खराब की बातें

महजबीं याद है कि भूल गये
वो शब-ए-माहताब की बातें

तुझको रुसवा करेंगी ख़ून-ए-दिल
तेरी ये इज़्तिराब की बातें

सुनते हैं उनको छेड़ छेड़ के हम
उसके मुँह से इताब की बातें

ज़िक्‌र था जोश-ए-इश्क़ में ऐ 'ज़ौक़्'
हम से हों सब्र-ओ-ताब की बातें

vaqt-e-pīrī śhabāb kī bāteṅ
aisī haiṅ jaise khvāb kī bāteṅ

phir mujhe le chalā udhar dekho
dil-e-khānā-kharāb kī bāteṅ

mahajbīṅ yād hai ki bhūl gaye
vo śhab-e-māhtāb kī bāteṅ

tujhko rusvā kareṅgī khūn-e-dil
terī ye iztirāb kī bāteṅ

sunte haiṅ unko chheṛ chheṛ ke ham
uske muṇh se itāb kī bāteṅ

zik‌ra thā jośh-e-iśhq meṅ ai 'zauq'
ham se hoṅ sabr-o-tāb kī bāteṅ