Us bazam men mujhe naheen bantee hayaa kiye

उस बज़्म में मुझे नहीं बनती हया किये
Year
Language

उस बज़्म में मुझे नहीं बनती हया किये
बैठा रहा अगरचे इशारे हुआ किया

किस रोज़ तोहमतें न तराशा किये हुज़ूर
किस दिन हमारे सर पे न आरे चला किये

ज़िद की है और बात मगर ख़ूबरी नहीं
भूले से उसने सैकड़ों वाद-ए-वफ़ा किये

'ग़ालिब्' तुम्हीं कहो के मिलेगा जवाब क्‌या
माना के तुम कहा किये और वो सुना किये

us bazam meṅ mujhe nahīṅ bantī hayā kiye
baiṭhā rahā agarche iśhāre huā kiyā

kis roz tohamteṅ na tarāśhā kiye huzūr
kis din hamāre sar pe na āre chalā kiye

zid kī hai aur bāt magar khūbrī nahīṅ
bhūle se usne saikaṛoṅ vād-e-vafā kiye

'ġhālib' tumhīṅ kaho ke milegā javāb k‌yā
mānā ke tum kahā kiye aur vo sunā kiye