Unse nain milaa kar dekho

उनसे नैन मिला कर देखो
Year
Language

उनसे नैन मिला कर देखो
ये धोखा भी खा कर देखो

दूरी में क्‌या भेद छिपा है
इसकी खोज लगा कर देखो

किसी अकेली शाम की चुप में
गीत पुराने गा कर देखो

आज की रात बहुत काली है
सोच के दीप जलाकर देखो

जाग जाग कर उम्र कटी है
नींद के द्वार हिला कर देखो

unse nain milā kar dekho
ye dhokhā bhī khā kar dekho

dūrī meṅ k‌yā bhed chhipā hai
iskī khoj lagā kar dekho

kisī akelī śhām kī chup meṅ
gīt purāne gā kar dekho

āj kī rāt bahut kālī hai
soch ke dīp jalākar dekho

jāg jāg kar umr kaṭī hai
nīṅd ke dvār hilā kar dekho