उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ न दवा ने काम किया
देखा इस बीमारी-ए-दिल ने आख़िर काम तमाम किया
अहद-ए-जवानी रो रो काटा पीरी में लीं आँखें मूँद
यानी रात बहुत थे जागे सुबह हुई आराम किया
नाहक हम मजबूरों पर ये तोहमत है मुख़्तारी की
चाहते हैं सो आप करे हैं हमको अबस बदनाम किया
'मीर्' के दीन-ओ-मज़हब को क्या पूछते हो दुनिया वालो
?? कश्क़ा खींचा कबका तर्क इस्लाम किया
ulṭī ho gaīṅ sab tadbīreṅ kuchh na davā ne kām kiyā
dekhā is bīmārī-e-dil ne ākhir kām tamām kiyā
ahad-e-javānī ro ro kāṭā pīrī meṅ līṅ āṇkheṅ mūṇd
yānī rāt bahut the jāge subah huī ārām kiyā
nāhak ham majbūroṅ par ye tohmat hai mukhtārī kī
chāhte haiṅ so āp kare haiṅ hamko abas badnām kiyā
'mīr' ke dīn-o-mazhab ko kyā pūchhte ho duniyā vālo
?? kaśhqā khīṅchā kabkā tark islām kiyā