उल्फ़त की नई मंज़िल को चला
उल्फ़त की नई मंज़िल को चला वो बाँहें डाल के बाँहों में
दिल तोड़ने वाले देख के चल हम भी तो पड़े हैं राहों में
क्या क्या न जफ़ाएं दिल पे सहीं पर तुमसे कोई शिकवा न किया
इस ज़ुर्म को भी शामिल कर लो मेरे मासूम गुनाहों में
जब चाँदनी रातों में तूने ख़ुद हमसे किया इक़रार-ए-वफ़ा
फिर आज है क्यूँ हम बेगाने तेरे बेरहम निगाहों में
हम भी हैं वही तुम भी हो वही ये अपनी अपनी क़िस्मत है
डरते ही रहे वो ख़ुशियों से जो डूब गए हैं आहों में
ulfat kī naī maṅzil ko chalā vo bāṇheṅ ḍāl ke bāṇhoṅ meṅ
dil toṛne vāle dekh ke chal ham bhī to paṛe haiṅ rāhoṅ meṅ
kyā kyā na jafāeṅ dil pe sahīṅ par tumse koī śhikvā na kiyā
is zurm ko bhī śhāmil kar lo mere māsūm gunāhoṅ meṅ
jab chāṇdnī rātoṅ meṅ tūne khud hamse kiyā iqrār-e-vafā
phir āj hai kyūṇ ham begāne tere beraham nigāhoṅ meṅ
ham bhī haiṅ vahī tum bhī ho vahī ye apnī apnī qismat hai
ḍarte hī rahe vo khuśhiyoṅ se jo ḍūb gae haiṅ āhoṅ meṅ