उदास शाम किसी ख़ाब में ढली तो है
उदास शाम किसी ख़ाब में ढली तो है
यही बहुत है के ताज़ा हवा चली तो है
जो अपनी शाख़ से बाहर अभी नहीं आई
नई बहार की ज़ामिन वही कली तो है
धुवाँ तो झूठ नहीं बोलता कभी यारो
हमारे शहर में बस्ती कोई जली तो है
किसी के इश्क़ में हम जान से गये लेकिन
हमारे नाम से रस्म-ए-वफ़ा चली तो है
हज़ार बन्द हों दैर-ओ-हरम के दरवाज़े
मेरे लिये मेरे महबूब की गली तो है
udās śhām kisī khāb meṅ ḍhalī to hai
yahī bahut hai ke tāzā havā chalī to hai
jo apnī śhākh se bāhar abhī nahīṅ āī
naī bahār kī zāmin vahī kalī to hai
dhuvāṇ to jhūṭh nahīṅ boltā kabhī yāro
hamāre śhahar meṅ bastī koī jalī to hai
kisī ke iśhq meṅ ham jān se gaye lekin
hamāre nām se rasm-e-vafā chalī to hai
hazār band hoṅ dair-o-haram ke darvāze
mere liye mere mahbūb kī galī to hai