Tum mujhe yoon bhoolaa naa paaoge

तुम मुझे यूँ भूला ना पाओगे
Year
Language

तुम मुझे यूँ भुला ना पाओगे
जब कभी भी सुनोगे गीत मेरे
संग संग तुम भी गुनगुनाओगे

वो बहारें, वो चांदनी राते
हमने की थी जो प्यार की बाते
उन नजारों की याद आयेगी
जब खयालों में मुझको लाओगे

मेरे हाथों में तेरा चेहरा था
जैसे कोई गुलाब होता है
और सहारा लिया था बाहों का
वो समा किस तरह भुलाओगे

मुझको देखे बिना करार न था
एक ऐसा भी दौर गुजरा है
झूठ मानो तो पूछ लो दिल से
मैं कहूंगा तो रूठ जाओगे

tum mujhe yūṇ bhulā nā pāoge
jab kabhī bhī sunoge gīt mere
saṅg saṅg tum bhī gungunāoge

vo bahāreṅ, vo chāṅdnī rāte
hamne kī thī jo pyār kī bāte
un najāroṅ kī yād āyegī
jab khayāloṅ meṅ mujhko lāoge

mere hāthoṅ meṅ terā chehrā thā
jaise koī gulāb hotā hai
aur sahārā liyā thā bāhoṅ kā
vo samā kis tarah bhulāoge

mujhko dekhe binā karār na thā
ek aisā bhī daur gujrā hai
jhūṭh māno to pūchh lo dil se
maiṅ kahūṅgā to rūṭh jāoge