Tum mujhe yoon bhoolaa naa paaoge

तुम मुझे यूँ भूला ना पाओगे
Year
Language

तुम मुझे यूँ भुला ना पाओगे
जब कभी भी सुनोगे गीत मेरे
संग संग तुम भी गुनगुनाओगे

बीती बातों का कुछ ख़याल करो
कुछ तो बोलो कुछ हमसे बात करो
राज-ए-दिल मैं तुम्हे बता दूँगी
मैं तुम्हारी हूँ मान जाओगे

मेरी खामोशियों को समझो तुम
जिन्दगी याद में गुज़ारी है
मैं मिटी हूँ तुम्हारी चाहत मैं
और कितना मुझे मिटाओगे

दिल ही दिल में तुम ही से प्यार किया
अपने जीवन को भी निसार किया
कौन तड़पा तुम्हारी राहों में
जब ये सोचोगे जान जाओगे

tum mujhe yūṇ bhulā nā pāoge
jab kabhī bhī sunoge gīt mere
saṅg saṅg tum bhī gungunāoge

bītī bātoṅ kā kuchh khayāl karo
kuchh to bolo kuchh hamse bāt karo
rāj-e-dil maiṅ tumhe batā dūṇgī
maiṅ tumhārī hūṇ mān jāoge

merī khāmośhiyoṅ ko samjho tum
jindgī yād meṅ guzārī hai
maiṅ miṭī hūṇ tumhārī chāhat maiṅ
aur kitnā mujhe miṭāoge

dil hī dil meṅ tum hī se pyār kiyā
apne jīvan ko bhī nisār kiyā
kaun taṛpā tumhārī rāhoṅ meṅ
jab ye sochoge jān jāoge