Tum to do din ke liye aa ke chalee jaatee ho

तुम तो दो दिन के लिये आ के चली जाती हो
Year
Language

तुम तो दो दिन के लिये आ के चली जाती हो
घर मेरा तुमको बहुत याद किया करता है

तुम जो आती हो तो एक चाँद उतर आता है
नूर ही नूर मेरे घर में बिखर जाता है
हर तरफ़ उड़ती है शादाब जवानी की महक
जैसे तुम हीं से हर एक फूल महक पाता है
और फिर जाते ही फ़रियाद किया करता है

तुम जो होती हो तो इठला के हवा चलती है
छेड़ करती हुई बलखा के हवा चलती है
सरसराते हुये आँचल पे जो पड़ती है नज़र
देखता क्‌या हूँ के शरमा के नज़र चलती है
तुमसे बातें दिल-ए-नाशाद किया करता है

tum to do din ke liye ā ke chalī jātī ho
ghar merā tumko bahut yād kiyā kartā hai

tum jo ātī ho to ek chāṇd utar ātā hai
nūr hī nūr mere ghar meṅ bikhar jātā hai
har taraf uṛtī hai śhādāb javānī kī mahak
jaise tum hīṅ se har ek phūl mahak pātā hai
aur phir jāte hī fariyād kiyā kartā hai

tum jo hotī ho to iṭhlā ke havā chaltī hai
chheṛ kartī huī balkhā ke havā chaltī hai
sarasrāte huye āṇchal pe jo paṛtī hai nazar
dekhtā k‌yā hūṇ ke śharmā ke nazar chaltī hai
tumse bāteṅ dil-e-nāśhād kiyā kartā hai