Tootee hai meree neend magar tumko isse k‌yaa

तूटी है मेरी नींद मगर तुमको इससे क्‌या
Year
Language

टूटी है मेरी नींद मगर तुमको इससे क्‌या
बजते रहें हवाओं से दर तुमको इससे क्‌या

तुम मौज मौज मिस्ल-ए-सबा घूमते रहो
कट जायें मेरी सोच के पर तुमको इससे क्‌या

औरों के हाथ थामो उन्हें रास्ता दिखाओ
मैं भूल जाऊँ अपना ही घर तुमको इससे क्‌या

तुमने तो थक के दश्त में ख़ैमे लगा लिये
तनहा कटे किसी का सफ़र तुमको इससे क्‌या

ṭūṭī hai merī nīṅd magar tumko isse k‌yā
bajte raheṅ havāoṅ se dar tumko isse k‌yā

tum mauj mauj misl-e-sabā ghūmte raho
kaṭ jāyeṅ merī soch ke par tumko isse k‌yā

auroṅ ke hāth thāmo unheṅ rāstā dikhāo
maiṅ bhūl jāūṇ apnā hī ghar tumko isse k‌yā

tumne to thak ke daśht meṅ khaime lagā liye
tanhā kaṭe kisī kā safar tumko isse k‌yā