तूने ये फूल जो ज़ुल्फ़ों में सजा रखा है
तूने ये फूल जो ज़ुल्फ़ों में सजा रखा है
इक दिया है जो अंधेरों में जला रखा है
जीत ले जाये कोई मुझको नसीबों वाला
ज़िंदगी ने मुझे दाँव पे लगा रखा है
जाने कब दिल में कोई झाँकने वाला आ जाये
इस लिये मैंने गिरेबान खुला रखा है
इम्तिहाँ और मेरे ज़ब्त का तुम क्या लोगे
मैंने धड़कन को भी सीने में छुपा रखा है
दिल था इक शोला मगर बीत गये दिन वो 'क़तील्'
अब कुरेदो ना इसे राख़ में क्या रखा है
tūne ye phūl jo zulfoṅ meṅ sajā rakhā hai
ik diyā hai jo aṅdheroṅ meṅ jalā rakhā hai
jīt le jāye koī mujhko nasīboṅ vālā
ziṅdgī ne mujhe dāṇv pe lagā rakhā hai
jāne kab dil meṅ koī jhāṇkne vālā ā jāye
is liye maiṅne girebān khulā rakhā hai
imtihāṇ aur mere zabt kā tum kyā loge
maiṅne dhaṛkan ko bhī sīne meṅ chhupā rakhā hai
dil thā ik śholā magar bīt gaye din vo 'qatīl'
ab kuredo nā ise rākh meṅ kyā rakhā hai