Toone kuchh bhee na kahaa jo jaise

तूने कुछ भी न कहा जो जैसे
Year
Language

तूने कुछ भी न कहा जो जैसे
मेरे ही दिल की सदा हो जैसे

यूँ तेरी याद से जी घबराया
तू मुझे भूल गया हो जैसे

इस तरह तुझसे किये हैं शिकवे
मुझको अपने से गिला हो जैसे

यूँ हर एक नक़्श पे झुकती है ज़बीं
तेरा नक़्श-ए-क़फ़-ए-पा हो जैसे

तेरे होंठों की ख़फ़ी सी लर्ज़िश
इक हसीं शेर हुआ हो जैसे

tūne kuchh bhī na kahā jo jaise
mere hī dil kī sadā ho jaise

yūṇ terī yād se jī ghabrāyā
tū mujhe bhūl gayā ho jaise

is tarah tujhse kiye haiṅ śhikve
mujhko apne se gilā ho jaise

yūṇ har ek naqśh pe jhuktī hai zabīṅ
terā naqśh-e-qaf-e-pā ho jaise

tere hoṅṭhoṅ kī khafī sī larziśh
ik hasīṅ śher huā ho jaise