Teree ye surmaee aankhen

तेरी ये सुर्मई आँखें
Year
Language

नाच्यो माईचंग तीमी डंफ़ू को तालय मा
मय तीमी लाई तीय मलई बिहे गरछू औने सालई मां

तेरी ये सुर्मई आँखें पनाहों में बुलाती हैं
कहीं से मैं गुज़रता हूँ यहीं तक खींच लाती हैं

तेरी ये प्यार की खुश्बू मुझे हर पल सताती है
कहीं से मैं गुज़रती हूँ हज़ारों गुल खिलाती हैं
हूं हूं हूं

ये आँखें आईना दिल का हज़ारों रंग में ढल के
ये झुकती हैं हया बन के ये उठती हैं दुआ बन के
ये आँखें छाँव में अपनी ओ मुझे अक्‌सर सुलाती हैं
कहीं से मैं गुज़रता …

न ना ना ना

अरे तू भोली भाली रे थारो गोर बंद लूं म्हारो

तेरे होंठों से गीतों का के जब सावन बरसता है
जिया में हौले हौले से प्यार का गीत बनता है
ये रुत एहसास में मेरी कहीं नर्मी जगाती है
कहीं से मैं गुज़रती …

nāchyo māīchaṅg tīmī ḍaṅfū ko tālay mā
may tīmī lāī tīy malaī bihe garchhū aune sālaī māṅ

terī ye surmaī āṇkheṅ panāhoṅ meṅ bulātī haiṅ
kahīṅ se maiṅ guzartā hūṇ yahīṅ tak khīṅch lātī haiṅ

terī ye pyār kī khuśhbū mujhe har pal satātī hai
kahīṅ se maiṅ guzartī hūṇ hazāroṅ gul khilātī haiṅ
hūṅ hūṅ hūṅ

ye āṇkheṅ āīnā dil kā hazāroṅ raṅg meṅ ḍhal ke
ye jhuktī haiṅ hayā ban ke ye uṭhtī haiṅ duā ban ke
ye āṇkheṅ chhāṇv meṅ apnī o mujhe ak‌sar sulātī haiṅ
kahīṅ se maiṅ guzartā …

na nā nā nā

are tū bholī bhālī re thāro gor baṅd lūṅ mhāro

tere hoṅṭhoṅ se gītoṅ kā ke jab sāvan barastā hai
jiyā meṅ haule haule se pyār kā gīt bantā hai
ye rut ehsās meṅ merī kahīṅ narmī jagātī hai
kahīṅ se maiṅ guzartī …