तेरी ख़ुशी में अगर ग़म में भी ख़ुशी न हुई
तेरी ख़ुशी में अगर ग़म में भी ख़ुशी न हुई
ये ज़िंदगी तो मुहब्बत की ज़िंदगी न हुई
ख़याल-ए-यार सलामत तुझे ख़ुदा रखे
तेरे बग़ैर कभी घर में रोशनी न हुई
सबा ये उनसे हमारा पयाम कह देना
गये हो जब से यहाँ सुबह-ओ-शाम ही न हुई
गये थे हम भी 'जिगर्' जल्वागाह-ए-जानाँ में
वो पूछते ही रहे हमसे बात ही न हुई
terī khuśhī meṅ agar ġham meṅ bhī khuśhī na huī
ye ziṅdgī to muhabbat kī ziṅdgī na huī
khayāl-e-yār salāmat tujhe khudā rakhe
tere baġhair kabhī ghar meṅ rośhnī na huī
sabā ye unse hamārā payām kah denā
gaye ho jab se yahāṇ subah-o-śhām hī na huī
gaye the ham bhī 'jigar' jalvāgāh-e-jānāṇ meṅ
vo pūchhte hī rahe hamse bāt hī na huī