तेरी दुनिया से हो के मजबूर चला
तेरी दुनिया से हो के मजबूर चला
मैं बहुत दूर, बहुत दूर, बहुत दूर चला
तेरी दुनिया से …
इस क़दर दूर हूँ मैं लौट के भी आ न सकूँ
ऐसी मंज़िल कि जहाँ खुद को भी मैं पा न सकूँ
और मजबूरी है क्या, इतना भी बतला न सकूँ
तेरी दुनिया से …
आँख भर आयी अगर, अश्क़ों को मैं पी लूँगा
आह निकली जो कभी, होंठों को मैं सी लूँगा
तुझसे वादा है किया, इस लिये मैं जी लूँगा
तेरी दुनिया से …
खुश रहे तू है जहां ले जा दुआएं मेरी
तेरी राहों से जुदा हो गयी राहें मेरी
कुच नहीं पास मेरे, बस हैं खताएं मेरी
तेरी दुनिया से …
terī duniyā se ho ke majbūr chalā
maiṅ bahut dūr, bahut dūr, bahut dūr chalā
terī duniyā se …
is qadar dūr hūṇ maiṅ lauṭ ke bhī ā na sakūṇ
aisī maṅzil ki jahāṇ khud ko bhī maiṅ pā na sakūṇ
aur majbūrī hai kyā, itnā bhī batlā na sakūṇ
terī duniyā se …
āṇkh bhar āyī agar, aśhqoṅ ko maiṅ pī lūṇgā
āh niklī jo kabhī, hoṅṭhoṅ ko maiṅ sī lūṇgā
tujhse vādā hai kiyā, is liye maiṅ jī lūṇgā
terī duniyā se …
khuśh rahe tū hai jahāṅ le jā duāeṅ merī
terī rāhoṅ se judā ho gayī rāheṅ merī
kuch nahīṅ pās mere, bas haiṅ khatāeṅ merī
terī duniyā se …