Tere honthon ko teree laalee ko tere yauvan kee

तेरे होंठों को तेरी लाली को तेरे यौवन की
Work
Year
Language

तेरे होंठों को तेरी लाली को तेरे यौवन की हरियाली को
तेरी अंगड़ाई में मिला दूँ बोलो तो गीत बना दूँ
तेरे होंठों को …

ज़ुल्फ़ों के आवारा सावन में तेरे अंग-अंग के दर्शन में
तेरे मन के कोरे दर्पण में अपनी तस्वीर सजा दूँ
बोलो तो गीत बना …

पलकों के तिरछे कोने को तेरे रूप के मस्त खिलौने को
तेरे गहरीले रंग सलोने को इक ऐसी गिरह लगा दूँ
बोलो तो गीत बना …

बिंदिया की चंचल चितवन से बाँहों के खनकते कँगन से
पायल की झनकती झन-झन से अपनी आवाज़ मिला दूँ
बोलो तो गीत बना …

tere hoṅṭhoṅ ko terī lālī ko tere yauvan kī hariyālī ko
terī aṅgaṛāī meṅ milā dūṇ bolo to gīt banā dūṇ
tere hoṅṭhoṅ ko …

zulfoṅ ke āvārā sāvan meṅ tere aṅg-aṅg ke darśhan meṅ
tere man ke kore darpaṇ meṅ apnī tasvīr sajā dūṇ
bolo to gīt banā …

palkoṅ ke tirchhe kone ko tere rūp ke mast khilaune ko
tere gahrīle raṅg salone ko ik aisī girah lagā dūṇ
bolo to gīt banā …

biṅdiyā kī chaṅchal chitavan se bāṇhoṅ ke khanakte kṇgan se
pāyal kī jhanaktī jhan-jhan se apnī āvāz milā dūṇ
bolo to gīt banā …