Tere chehre kee tarah aur mere seene kee tarah

तेरे चेहरे की तरह और मेरे सीने की तरह्
Year
Language

तेरे चेहरे की तरह और मेरे सीने की तरह
मेरा हर शेर दमकता है नगीने की तरह

फूल जागे हैं कहीं तेरे बदन की मानिन्द
ओस महकी है कहीं तेरे पसीने की तरह

ऐ मुझे छोड़ के तूफ़ान में जाने वाले
दोस्त होता है तलातुम में सफ़ीने की तरह

तेरा वादा था के इस माह ज़ुरूर आयेगा
अब तो हर रोज़ गुज़रता है महीने की तरह्

tere chehre kī tarah aur mere sīne kī tarah
merā har śher damaktā hai nagīne kī tarah

phūl jāge haiṅ kahīṅ tere badan kī mānind
os mahkī hai kahīṅ tere pasīne kī tarah

ai mujhe chhoṛ ke tūfān meṅ jāne vāle
dost hotā hai talātum meṅ safīne kī tarah

terā vādā thā ke is māh zurūr āyegā
ab to har roz guzartā hai mahīne kī tarah