Tere baare men jab sochaa naheen thaa

तेरे बारे में जब सोचा नहीं था
Year
Language

तेरे बारे में जब सोचा नहीं था
मैं तन्हा था मगर इतना नहीं था
तेरे बारे में जब …

तेरी तस्वीर से करता था बातें
मेरे कमरे में आईना नहीं था
मैं तन्हा था …

समंदर ने मुझे प्यासा ही रखा
मैं जब सहरा में था प्यासा नहीं था
मैं तन्हा था …

मनाने रूठने के खेल में हम
बिछड़ जाएंगे ये सोचा नहीं था
मैं तन्हा था …

सुना है बंद कर लीं उसने आँखें
कई रातों से वो सोया नहीं था
मैं तन्हा था …

tere bāre meṅ jab sochā nahīṅ thā
maiṅ tanhā thā magar itnā nahīṅ thā
tere bāre meṅ jab …

terī tasvīr se kartā thā bāteṅ
mere kamre meṅ āīnā nahīṅ thā
maiṅ tanhā thā …

samaṅdar ne mujhe pyāsā hī rakhā
maiṅ jab sahrā meṅ thā pyāsā nahīṅ thā
maiṅ tanhā thā …

manāne rūṭhne ke khel meṅ ham
bichhaṛ jāeṅge ye sochā nahīṅ thā
maiṅ tanhā thā …

sunā hai baṅd kar līṅ usne āṇkheṅ
kaī rātoṅ se vo soyā nahīṅ thā
maiṅ tanhā thā …