तेरे आने की जब खबर महके
तेरी खुश्बू से सारा घर महके
तेरे आने की …
शाम महके तेरे तसव्वुर से
शाम के बाद फिर सहर महके
तेरे आने की …
रात भर सोचता रहा तुझको
ज़हन-ओ-दिल मेरे रात भर महके
तेरे आने की …
यार आए तो दिल मुनव्वर हो
दीद हो जाए तो नज़र महके
तेरे आने की …
वो घड़ी दो घड़ी जहाँ बैठे
वो ज़मीं महके वो शजर महके
तेरे आने की …
tere āne kī jab khabar mahke
terī khuśhbū se sārā ghar mahke
tere āne kī …
śhām mahke tere tasavvur se
śhām ke bād phir sahar mahke
tere āne kī …
rāt bhar sochtā rahā tujhko
zahan-o-dil mere rāt bhar mahke
tere āne kī …
yār āe to dil munavvar ho
dīd ho jāe to nazar mahke
tere āne kī …
vo ghaṛī do ghaṛī jahāṇ baiṭhe
vo zamīṅ mahke vo śhajar mahke
tere āne kī …