तेरे आने का धोखा सा रहा है
तेरे आने का धोखा सा रहा है
दिया सा रात भर जलता रहा है
अजब है रात से आँखों का आलम
ये दरिया रात भर चढ़ता रहा है
सुना है रात भर बरसा है बादल
मगर वह शहर जो प्यासा रहा है
वो कोई दोस्त था अच्छे दिनों का
जो पिछली रात से याद आ रहा है
किसे ढूँढोगे इन गलियों में 'नासिर्'
चलो अब घर चलें दिन ढल रहा है
tere āne kā dhokhā sā rahā hai
diyā sā rāt bhar jaltā rahā hai
ajab hai rāt se āṇkhoṅ kā ālam
ye dariyā rāt bhar chaṛhtā rahā hai
sunā hai rāt bhar barsā hai bādal
magar vah śhahar jo pyāsā rahā hai
vo koī dost thā achchhe dinoṅ kā
jo pichhlī rāt se yād ā rahā hai
kise ḍhūṇḍhoge in galiyoṅ meṅ 'nāsir'
chalo ab ghar chaleṅ din ḍhal rahā hai