Teraa chiknaa roop hai aisaa anaar jaise gadreelaa

तेरा चिकना रूप है ऐसा अनार जैसे गदरीला
Work
Year
Language

र: तेरा चिकना ( रूप है ऐसा ) -2
अनार जैसे गदरीला -2
आ: छिल जाए ना ( हाथ कहीं तेरा ) -2
बदन मेरा पथरीला -2

र: सुन-सुन री पगली खाए चुगली
अँखियाँ लाज की मारी अब तक रही कुँवारी
होय कारन क्‌या होगा
आ: मैं तो कब से जियरवा हारी पिया की प्यारी
रही हूँ कुँवारी-कुँवारी
छिल जाए ना हाथ …

जिसने पकड़ी मेरी बहियाँ
वो न्यारा देख जले जग सारा
कि तू भी जले
र: कसम तेरे गालों की उड़ते बालों की
जल जाएगा ये दीवाना ना पछताना ना आँसू बहाना
मुझसे गोरी बाँध ले डोरी बनवा दूँगा बंगला
जो होगा रंग-रंगीला
होय बैठी राज करे
आ: मैं कंगली-कंगले की
ना भूखी बंगले की
जहाँ मेरे सजन का फेरा प्यार का डेरा वहीं घर मेरा
छिल जाए ना हाथ …

ra: terā chiknā ( rūp hai aisā ) -2
anār jaise gadrīlā -2
ā: chhil jāe nā ( hāth kahīṅ terā ) -2
badan merā pathrīlā -2

ra: sun-sun rī paglī khāe chuglī
aṇkhiyāṇ lāj kī mārī ab tak rahī kuṇvārī
hoy kāran k‌yā hogā
ā: maiṅ to kab se jiyarvā hārī piyā kī pyārī
rahī hūṇ kuṇvārī-kuṇvārī
chhil jāe nā hāth …

jisne pakaṛī merī bahiyāṇ
vo nyārā dekh jale jag sārā
ki tū bhī jale
ra: kasam tere gāloṅ kī uṛte bāloṅ kī
jal jāegā ye dīvānā nā pachhtānā nā āṇsū bahānā
mujhse gorī bāṇdh le ḍorī banvā dūṇgā baṅglā
jo hogā raṅg-raṅgīlā
hoy baiṭhī rāj kare
ā: maiṅ kaṅglī-kaṅgle kī
nā bhūkhī baṅgle kī
jahāṇ mere sajan kā pherā pyār kā ḍerā vahīṅ ghar merā
chhil jāe nā hāth …