Taskeen ko ham naa royen jo zauq-e-nazar mile

तस्कीँ को हम ना रोयें जो ज़ौक़-ए-नज़र मिले
Year
Language

तस्कीँ को हम ना रोयें जो ज़ौक़-ए-नज़र मिले -2
हूरान-ए-ख़ुल्द में तेरी सूरत मगर मिले -2

अपनी गली में मुझको न कर दफ़्न बाद-ए-क़त्ल -2
मेरे पते से ख़ल्क़ को क्‌यूँ तेरा घर मिले -2

साक़ी-गरी की शर्म करो आज वरना हम -2
हर शब पिया ही करते हैं मय जिस क़दर मिले -2

तुझसे तो कुछ कलाम नहीं लेकिन ऐ नदीम
मेरा सलाम कहियो अगर नामाबर मिले

taskīṇ ko ham nā royeṅ jo zauq-e-nazar mile -2
hūrān-e-khuld meṅ terī sūrat magar mile -2

apnī galī meṅ mujhko na kar dafn bād-e-qatl -2
mere pate se khalq ko k‌yūṇ terā ghar mile -2

sāqī-garī kī śharm karo āj varnā ham -2
har śhab piyā hī karte haiṅ may jis qadar mile -2

tujhse to kuchh kalām nahīṅ lekin ai nadīm
merā salām kahiyo agar nāmābar mile