तमाम उम्र तेरा इंतज़ार हमने किया
प्रेलुदे
तेरी बातें ही सुनाने आये
दोस्त भी दिल ही दुखाने आये
फूल खिलते हैं तो हम सोचते हैं
तेरे आने के ज़माने आये
क्या कहीं फिर कोई बस्ती उजड़ी
लोग क्यूँ जश्न मनाने आये
सो रहो मौत के पहलू में 'फ़राज़्'
नींद किस वक़्त न जाने आये
तमाम उम्र तेरा इंतज़ार हमने किया
इस इंतज़ार में किस किससे प्यार हमने किया
कोई मिलता है तो अब अपना पता पूछता हूँ
मैं तेरी खोज में तुझसे भी परे जा निकला
तोड़ कर देख लिया आईना-ए-दिल तूने
तेरी सूरत के सिवा और बता क्या निकला
तलाश-ए-दोस्त को इक उम्र चाहिये ऐ दोस्त
के एक उम्र तेरा इंतज़ार हमने किया
दबा के कब्र में सब चल दिये दुआ न सलाम
ज़रा सी देर में क्या हो गया ज़माने को
'क़मर्' ज़रा भी नहीं तुमको ख़ौफ़-ए-रुस्वाई
'क़मर्' ज़रा भी नहीं तुझको ख़ौफ़-ए-रुस्वाई
के चाँदनी में चले हो उन्हें मनाने को
तेरे ख़याल में दिल शादमा रहा बरसों
तेरे हुज़ूर इसे सोगवार हमने किया
ये तिश्नगी है के उनसे क़रीब रह कर भी
'हफ़ीज़्' याद उन्हें बार बार हमने किया
prelude
terī bāteṅ hī sunāne āye
dost bhī dil hī dukhāne āye
phūl khilte haiṅ to ham sochte haiṅ
tere āne ke zamāne āye
kyā kahīṅ phir koī bastī ujaṛī
log kyūṇ jaśhn manāne āye
so raho maut ke pahlū meṅ 'farāz'
nīṅd kis vaqt na jāne āye
tamām umr terā iṅtazār hamne kiyā
is iṅtazār meṅ kis kisse pyār hamne kiyā
koī miltā hai to ab apnā patā pūchhtā hūṇ
maiṅ terī khoj meṅ tujhse bhī pare jā niklā
toṛ kar dekh liyā āīnā-e-dil tūne
terī sūrat ke sivā aur batā kyā niklā
talāśh-e-dost ko ik umr chāhiye ai dost
ke ek umr terā iṅtazār hamne kiyā
dabā ke kabr meṅ sab chal diye duā na salām
zarā sī der meṅ kyā ho gayā zamāne ko
'qamar' zarā bhī nahīṅ tumko khauf-e-rusvāī
'qamar' zarā bhī nahīṅ tujhko khauf-e-rusvāī
ke chāṇdnī meṅ chale ho unheṅ manāne ko
tere khayāl meṅ dil śhādmā rahā barsoṅ
tere huzūr ise sogvār hamne kiyā
ye tiśhngī hai ke unse qarīb rah kar bhī
'hafīz' yād unheṅ bār bār hamne kiyā