maiṅ kismat kā mārā bhagavan, maiṅ kismat kā mārā
jag meṅ bhaṭak-bhaṭak ke hārā (2) bhagavan
maiṅ kismat kā mārā bhagavan, maiṅ kismat kā mārā
kismat ke jab phūl tū bāṅṭe (2)
jholī meṅ merī bhar diye kāṅṭe (2)
in kāṅṭo ko chunte chunte (2)
guzrā jīvan sārā, bhagavan
maiṅ kismat kā mārā
jag meṅ bhaṭak-bhaṭak ke hārā, bhagavan
maiṅ kismat kā mārā
bītī umriyā jalte jalte (2)
jalte aṅgāroṅ pe chal ke (2)
maut kī maṅzil mil jāye to (2)
ho jāye chhuṭkārā (2), bhagavan
maiṅ kismat kā mārā (2)