latā: dil toṛne vāle, tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
āvāz de tū kaun sī nagrī meṅ chhupā hai
dil toṛne vāle …
tū ham ko jo mil jāe to hāl apnā sunāeṅ
khud roeṅ kabhī aur kabhī tujhe rulāeṅ
vo dāġh dikhāeṅ jo hameṅ tūne diyā hai
rafī: ai dil ke sahāre tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
sīne meṅ terī yād kā tūfān uṭhā hai
ai dil ke sahāre
dil meṅ to ye hasrat hai tere pās maiṅ āūṇ
nazroṅ se girā hūṇ to nazar kaise milāūṇ
nazar kaise milāūṇ
badnām hūṇ, nākām hūṇ, kyā mujh meṅ rahā hai
ai dil ke sahāre, tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
latā: dikhlā ke kinārā mujhe mallāh ne lūṭā
kaśhtī bhī gaī, hāth se, patvār bhī chhūṭā
patvār bhī chhūṭā
ab aur na jāne merī taqdīr meṅ kyā hai
dil toṛne vāle, tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
rafī: bechain udhar tū hai, to majbūr idhar ham
baiṭhe haiṅ chhupāe hue, aśhqoṅ meṅ terā ġham
aśhqoṅ meṅ terā ġham
har choṭ ubhar āī hai, har zakhm harā hai
latā: dil toṛne vāle, tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai