dil toṛnevāle, tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
āvāz de tū kaunsī nagrī meṅ chhūpā hai
tū hamko jo mil jāye, to hāl apnā sunāye
khud roye kabhī aur kabhī tujhko rulāye
vo dāġh dikhāye jo hameṅ tū ne diyā hai
ai dil ke sahāre, tujhe dil ḍhūṇḍh rahā hai
sīne meṅ terī yād kā tūphān uṭhā hai
dil meṅ to ye hasrat hai tere pās maiṅ āūṇ
nazroṅ se girā hūṇ to, nazar kaise milāūṇ
badnām hūṇ, nākām hūṇ, kyā mujh meṅ rahā hai
dikhlā ke kanārā mujhe mallāh ne lūṭā
kaśhtī bhī gayī hāth se, patvār bhī chhūṭā
ab aur nā jāne merī takdīr meṅ kyā hai
bechain udhar tū hai, to majbūr idhar ham
baiṭhe haiṅ chhupāye, aśhkoṅ meṅ terā gam
har choṭ ubhar āī hai, har zakhm harā hai