hai apnā dil to āvārā, na jāne kis pe āyegā
hasīnoṅ ne bulāyā, gale se bhī lagāyā
bahut samjhāyā, yahī na samjhā
bahut bholā hai bechārā, na jāne kis pe āyegā
hai apnā dil to āvārā …
ajab hai dīvānā, na ghar nā ṭhikānā
zamīṅ se begānā, phalak se judā
ye ek ṭūṭā huā tārā, na jāne kis pe āyegā
hai apnā dil to āvārā …
zamānā dekhā sārā, hai sab kā sahārā
ye dil hī hamārā, huā na kisī kā
safar meṅ hai ye baṅjārā, na jāne kis pe āyegā
hai apnā dil to āvārā …
huā jo kabhī rāzī, to milā nahīṅ kāzī
jahāṇ pe lagī bāzī, vahīṅ pe hārā
zamāne bhar kā nākārā, na jāne kis pe āyegā
hai apnā dil to āvārā …
hai apnā dil to āvārā
na jāne kis pe āegā …
(rukegā na rukā hai na jāne dhun hī kyā hai
kabhī ye rastā hai kabhī vo rastā) - 2
phire hai dar badar mārā
na jāne kis pe āegā …
(kisīse ye milā thā batāe koī kyā thā
bedārī kā samā thā ke thā vo sapnā) - 2
khud apne dard se hārā
na jāne kis pe āegā …