Sochte aur jaagte saanson kaa ik dariyaa hoon main

सोचते और जागते साँसों का इक दरिया हूँ मैं
Year
Language

सोचते और जागते साँसों का इक दरिया हूँ मैं
अपने गुमगश्ता किनारों के लिये बहता हूँ मैं

जल गया सारा बदन इन मौसमों की आग में
एक मौसम रूह का है जिसमें अब ज़िंदा हूँ मैं

मेरे होंठों का तबस्सुम दे गया धोखा तुझे
तूने मुझको बाग़ जाना देख ले सहरा हूँ मैं

देखिये मेरी पजीराई को अब आता है कौन
लम्हा भर तो वक़्त की दहलीज़ पर आया हूँ मैं

sochte aur jāgte sāṇsoṅ kā ik dariyā hūṇ maiṅ
apne gumgaśhtā kināroṅ ke liye bahtā hūṇ maiṅ

jal gayā sārā badan in mausmoṅ kī āg meṅ
ek mausam rūh kā hai jismeṅ ab ziṅdā hūṇ maiṅ

mere hoṅṭhoṅ kā tabassum de gayā dhokhā tujhe
tūne mujhko bāġh jānā dekh le sahrā hūṇ maiṅ

dekhiye merī pajīrāī ko ab ātā hai kaun
lamhā bhar to vaqt kī dahlīz par āyā hūṇ maiṅ