Title (Indic)दर्द जगा के, ठेस लगा के चले गये वो चले गये WorkSipahiya Year1949 LanguageHindi Credits Role Artist Music C. Ramchandra Performer Lata Mangeshkar Writer Ram Murti Chaturvedi LyricsHindiदर्द जगा के, ठेस लगा के चले गये वो चले गये नैनों में समा के, मन तड़पा के चले गये वो चले गये छलके आँसू तो बह न सके -2 फिर होंठ खुले कुछ कह न सके वो दिल में रह कर रह न सके वो रह न सके क्या प्यार इसी को कहते हैं जो हमें भुला के चले गये दर्द जगा के, ठेस लगा के चले गये वो चले गये हमने तुमसे ऐतबार किया -2 इस दिल की दुनिया वार दिया हाय तुमने भी था इकरार किया झूठे वादे से मन मेरा बालम बहला के जो चले गये ( दर्द जगा के, ठेस लगा के चले गये वो चले गये ) -2 Englishdard jagā ke, ṭhes lagā ke chale gaye vo chale gaye nainoṅ meṅ samā ke, man taṛpā ke chale gaye vo chale gaye chhalke āṇsū to bah na sake -2 phir hoṅṭh khule kuchh kah na sake vo dil meṅ rah kar rah na sake vo rah na sake kyā pyār isī ko kahte haiṅ jo hameṅ bhulā ke chale gaye dard jagā ke, ṭhes lagā ke chale gaye vo chale gaye hamne tumse aitbār kiyā -2 is dil kī duniyā vār diyā hāy tumne bhī thā ikrār kiyā jhūṭhe vāde se man merā bālam bahlā ke jo chale gaye ( dard jagā ke, ṭhes lagā ke chale gaye vo chale gaye ) -2